Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain

itna to jaante hain ki bande KHuda ke hain

aage hawas gum KHirad-e-na-rasa ke hain

mamnun-e-barg-e-gul hain na sharminda-e-saba

hum bulbul aur hi chaman-e-dil-kusha ke hain

kya kohkan ki koh-kani kya junun-e-qais

wadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain

bunyan-e-umr sust hai aur muniman-e-dahr

maghrur apne ko shak-e-ali bina ke hain

apne wajud ka abhi uqda khula nahin

masruf hill-o-aqd main arz-o-sama ke hain

shaiKH aur barhaman mein agar lag hai to ho

donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain

jin ko inayat-e-azali se hai chashm-dasht

wo mo'taqid dua ke na qael dawa ke hain

laya nahin hunuz nawed-e-visal-e-dost

hum shikwa-sanj susti-e-paik-e-saba ke hain

samjho agar to hain wahi sab se haris-tar

talib KHuda se jo dil-e-be-muddaa ke hain

un bad-dilon ne ishq ko bad-nam kar diya

jo murtakib shikayat-e-jaur-o-jafa ke hain

himmat huma-e-auj-e-saadat hai mard ko

ullu hain wo jo shefta zill-e-huma ke hain

hai ashk-o-ah ras hamare mizaj ko

yani pale hue isi aab-o-hawa ke hain

jo bandhte hain turra-e-tarrar ka KHayal

nadan umid-war nuzul-e-bala ke hain

khaTka bhi kuchh hua nahin aur dil uDa liya

ye sare hathkanDe teri zulf-e-dota ke hain

said-e-karishma is liye hote nahin ki hum

pahle se zaKHm-KHurda fareb-e-wafa ke hain

mara bhi aur mar ke zinda bhi kar diya

ye shoabde to shoKHi-e-naz-o-ada ke hain

KHalwat mein bhi rawa nahin gustaKHi-e-nigah

parde paDe hue abhi sharm-o-haya ke hain

yun kah rahi hai nargis-e-bimar ki ada

nusKHe to mujh ko yaad hazaron shifa ke hain

ab tak hai sajda-gah-e-azizan-e-rozgar

jis KHak par nishan tere kafsh-e-pa ke hain

andesha hai ki de na idhar ki udhar laga

mujh ko to na-pasand watire saba ke hain

sair-e-warud-e-qafila-e-nau-bahaar dekh

barpa KHiyam auj-e-hawa mein ghaTa ke hain

jata hai KHak-e-pak-e-deccan ko ye reKHta

wan qadr-dan is guhar-e-be-baha ke hain

ahbab ka karam hai agar nukta-chin na hon

warna hum aap mo'tarif apni KHata ke hain

(1093) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain In English By Famous Poet Ismail Merathi. Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain in PDF.