Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain

jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain

mahaalat ka sar qalam dekhte hain

jo baiThe the yan pa-ba-daman-e-hasti

unhen sar-ba-jeb-e-adam dekhte hain

kamalat-e-sanea pe jin ki nazar hai

wo KHubi-e-masnua kam dekhte hain

nahin mubtala jo tan-asaniyon mein

unhen dam-ba-dam taza-dam dekhte hain

nahin jin ko jah-o-hasham ka takabbur

wahi lutf-e-jah-o-hasham dekhte hain

shikam-parwari jin ka shewa hai un ko

asir-e-jafa-e-shikam dekhte hain

bas ai rang-o-bu tu na kar naz be-ja

KHuda jaane kya baat hum dekhte hain

uDate hain jo raKHsh-e-himmat ko sarpaT

wo manzil ko zer-e-qadam dekhte hain

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain In English By Famous Poet Ismail Merathi. Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain in PDF.