Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin

manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin

hun rail par sawar to dam-o-diram nahin

maidan-e-zindagi mein karen dauD-dhup kiya

hum aise na-tawan hain ki uThta qadam nahin

kya KHub hath panw KHuda ne ata kiye

chalte rahen to hajat KHil-o-KHadam nahin

aghyar kyun daKHil hain bazm-e-surur mein

mana ki yar kam hain par itne to kam nahin

jab tak hai ishq-o-ashiq-o-mashuq mein tamiz

khulta kisi pe raaz-e-hadus-o-qidam nahin

aadam pe mo'tariz hon farishte to kya ajab

chakhi hanuz chashni-e-zahr-e-gham nahin

izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha

dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin

tu hi nahin hai ramz-e-mohabbat se aashna

warna dayar-e-husn mein rasm-e-sitam nahin

irshad-e-taba ki na agar pairwi kare

naqqashi-e-KHayal majal-e-qalam nahin

sar hi ke bal gae hain sada rahrawan-e-ishq

hairat-zada na ban ki nishan-e-qadam nahin

kaisi talab kahan ki talab kis liye talab

hum hain to wo nahin hai jo wo hai to hum nahin

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin In English By Famous Poet Ismail Merathi. Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin in PDF.