Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane

nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane

ye KHwan-e-karam kis ne bichhaya hai KHuda ne

jo dil mein hai munh phoD ke barwar nahin kahte

mara mujhe yaron ki durust aur baja ne

ghaflat mein hain sar-mast badalte nahin karwaT

go sar pe uTha li hai zamin shor-e-dara ne

israf ne arbab-e-tamawwul ko Duboya

aalim ko tafaKHur ne to zahid ko riya ne

mard us ko samajhte na kiya ho jise badmast

ayyam-e-jawani ki mai-e-hosh-ruba ne

ba-in-hama darmandagi insan ke ye dawe

kya zat-e-sharif in ko banaya hai KHuda ne

jalwat ka bharosa hai na KHalwat ki tawaqqo

sab wahm tha yaron ne jo take the Thikane

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane In English By Famous Poet Ismail Merathi. Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane in PDF.