Ruswa Hue Baghair Na Naz-e-butan UTha

ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha

jab ho gae subuk to ye bar-e-giran uTha

mani mein kar talash maash-e-dil-o-dimagh

haiwan-sifat na lazzat-e-kaam-o-dahan uTha

gar KHanda yaad aae to sine ko chaak kar

gar ghamza yaad aae to zaKHm-e-sinan uTha

ya aankh uTha ke chashm-e-fusun-saz ko na dekh

ya umr-bhar masaib-e-daur-e-zaman uTha

us anjuman mein jaiye ab kis umid par

hum baiThne na pae ki wo bad-guman uTha

be-yaad-e-dost umr-e-girami na sarf kar

us ganj-e-shaegan ko na yun raegan uTha

wasl-o-firaq wahm sahi dil-lagi to hai

phir hum kahan jo parda-e-raaz-e-nihan uTha

parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein

kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruswa Hue Baghair Na Naz-e-butan UTha In English By Famous Poet Ismail Merathi. Ruswa Hue Baghair Na Naz-e-butan UTha is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Ruswa Hue Baghair Na Naz-e-butan UTha for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Ruswa Hue Baghair Na Naz-e-butan UTha in PDF.