Salamat Hai Sar To Sirhane Bahut Hain

salamat hai sar to sirhane bahut hain

mujhe dil-lagi ke Thikane bahut hain

jo tashrif lao to hai kaun mane

magar KHu-e-bad ko bahane bahut hain

asar kar gai nafs-e-rahzan ki dhamki

ki yan mard kam aur zanane bahut hain

muattal nahin baiThte shaghl wale

shikar-afganon ko nishane bahut hain

karo dil ke virane ki kunj-kawi

dabe is khanDar mein KHazane bahut hain

na ai shama ro ro ke mar sham hi se

abhi tujh ko aansu bahane bahut hain

hua meri rudad par hukm aaKHir

ki mashhur aise fasane bahut hain

nahin rail ya tar barqi pe mauquf

chhupe qudrati kar-KHane bahut hain

bache kyunki be-chaara murgh-e-gurasna

ba-kasrat hain dam aur dane bahut hain

bas ek aastana hai sajde ke qabil

zamana mein go aastane bahut hain

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Salamat Hai Sar To Sirhane Bahut Hain In English By Famous Poet Ismail Merathi. Salamat Hai Sar To Sirhane Bahut Hain is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Salamat Hai Sar To Sirhane Bahut Hain for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Salamat Hai Sar To Sirhane Bahut Hain in PDF.