Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya

tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

kaisi zamin banai kya aasman banaya

panw tale bichhaya kya KHub farsh-e-KHaki

aur sar pe lajawrdi ek saeban banaya

miTTi se bel-buTe kya KHushnuma ugae

pahna ke sabz KHilat un ko jawan banaya

KHush-rang aur KHushbu gul phul hain khilae

is KHak ke khanDar ko kya gulistan banaya

mewe lagae kya kya KHush-zaeqa rasile

chakhne se jin ke mujh ko shirin-dahan banaya

suraj bana ke tu ne raunaq jahan ko baKHshi

rahne ko ye hamare achchha makan banaya

pyasi zamin ke munh mein meinh ka chuwaya pani

aur baadalon ko tu ne meinh ka nishan banaya

ye pyari pyari chiDiyan phirti hain jo chahakti

qudrat ne teri un ko tasbih-KHwan banaya

tinke uTha uTha kar lain kahan kahan se

kis KHub-surati se phir aashiyan banaya

unchi uDen hawa mein bachchon ko par na bhulen

in be-paron ka un ko rozi-rasan banaya

kya dudh dene wali gaen banain tu ne

chaDhne ko mere ghoDa kya KHush-inan banaya

rahmat se teri kya kya hain nematen mayassar

in nematon ka mujh ko hai qadr-dan banaya

aab-e-rawan ke andar machhli banai tu ne

machhli ke tairne ko aab-e-rawan banaya

har chiz se hai teri karigari Tapakti

ye karKHana tu ne kab raegan banaya

(4339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya In English By Famous Poet Ismail Merathi. Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya in PDF.