UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai

ulTi har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai

sidhi si ek ghazal mujhe likhni zarur hai

wahdat mein e'tibar-e-hudus-o-qidam nahin

tha jo butun mein ye wahi to zuhur hai

tarik wahi hai jis ne kiya kal ko iKHtiyar

yani haris-tar hai wahi jo subur hai

mutlaq yagangi hai to nazdik-o-dur kya

pahuncha hai jo qarib wahi dur dur hai

asl-e-hayat hai yahi kahte hain jis ko maut

jine ki aarzu hai to marna zarur hai

iqrar-e-bandagi hai KHudai ka iddaa

ijz-o-niyaz kya hai kamal-e-ghurur hai

ummid kijiye agar ummid kuchh nahin

gham khaiye bahut jo KHayal-e-surur hai

zulf-e-siyah se ruKH-e-taban ka husn hai

kahte ho jis ko dew haqiqat mein hur hai

be-masiyat KHazana-e-rahmat hai raegan

sach puchhiye to jurm na karna qusur hai

izhaar-e-jaan-e-pak hai jism-e-kasif se

be-pardagi hijab hai zulmat hi nur hai

bilittifaq hasti-e-wahmi hai niyyati

hushiyar hai jo nashsha-e-ghaflat mein chur hai

aala tha jis ka rutba wo asfal mein hai asir

saff-e-naal moqif-e-sadrussudur hai

hai rah ki talash to kar gumrahi talab

aaqil wahi hai aql mein jis ki futur hai

bedari-e-wajud hai KHwab-e-adam mein gharq

lab band ho gae yahi shor-e-nushur hai

har chand shaghl-e-sher nahin aaj-kal zarur

nazrana pir ji ke liye kuchh zarur hai

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai In English By Famous Poet Ismail Merathi. UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai is written by Ismail Merathi. Read famous Poem UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai in PDF.