Wahi Karwan Wahi Qafila Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

wahi karwan wahi qafila tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi manzil aur wahi marhala tumhein yaad ho ki na yaad ho

mutafailun mutafailun mutafailun mutafailun

ise wazn kahte hain sher ka tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi shukr hai jo sipas hai wo malul hai jo udas hai

jise shikwa kahte ho hai gila tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi naqs hai wahi khoT hai wahi zarb hai wahi choT hai

wahi sud hai wahi faeda tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi hai nadi wahi nahr hai wahi mauj hai wahi lahr hai

ye habab hai wahi bulbula tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi kizb hai wahi jhuT hai wahi jura hai wahi ghunT hai

wahi josh hai wahi walwala tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi sathi hai jo rafiq hai wahi yar hai jo sadiq hai

wahi mehr hai wahi mamta tumhein yaad ho ki na yaad ho

jise bhed kahte ho raaz hai jise baja kahte ho saz hai

jise tan kahte ho hai nawa tumhein yaad ho ki na yaad ho

jo murad hai wahi muddaa wahi muttaqi wahi parsa

jo phanse bala mein wo mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho

jo kaha hai main ne maqal hai jo namuna hai so misal hai

meri sarguzisht hai majra tumhein yaad ho ki na yaad ho

jo chunanche hai wahi jaisa hai jo che-gona hai wahi kaisa hai

jo chunan-chunin hai so ha-kaza tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi KHwar hai jo zalil hai wahi dost hai jo KHalil hai

bad-o-nek kya hai bura bhala tumhein yaad ho ki na yaad ho

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Karwan Wahi Qafila Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho In English By Famous Poet Ismail Merathi. Wahi Karwan Wahi Qafila Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Wahi Karwan Wahi Qafila Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Wahi Karwan Wahi Qafila Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho in PDF.