Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein

wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein

hun wahm-e-judai se ajab ranj-o-mehan mein

maqsud ziyarat hai agar kaba-e-dil ki

ho garm-e-safar nahiya-e-mulk-e-watan mein

wo qamat-e-dilkash hai ajab fitna-e-alam

chhupta hi nahin pairahan-e-naud-kuhan mein

ai shama baha ashk chhupa raaz-e-mohabbat

KHakistar-e-parwana hai betab lagan mein

shorish meri beja hai na fariyaad nikammi

raunaq hai zara nala-e-bulbul se chaman mein

tasir ho kya KHak jo baaton mein ghaDat ho

kuchh baat nikalti hai to be-saKHta-pan mein

kam-tar hai do o dam se insan ba-maraatib

har dam jo taraqqi na kare chaal-chalan mein

hun main to wahi moatakif-e-gosha-e-uzlat

haalanki mera reKHta pahuncha hai deccan mein

ye sach hai ki sauda bhi tha ustad-e-zamana

meri to magar 'mir' hi tha sher ke fan mein

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein In English By Famous Poet Ismail Merathi. Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein in PDF.