Zara Gham-zadon Ke Bhi Gham-KHwar Rahna

zara gham-zadon ke bhi gham-KHwar rahna

karen naz to naz-bardar rahna

faraKHi-o-usrat mein shadi-o-gham mein

bahar-haal yaron ke tum yar rahna

samajh nardban apni nakaamiyon ko

ki hai shart-e-himmat talabgar rahna

karo shukr hai ye inayat KHuda ki

balaon mein aksar giraftar rahna

agar aadmi ko na ho mashghala kuchh

bahisht-e-barin mein ho dushwar rahna

KHabar bhi hai aadam se jannat chhuTTi kyun

KHilaf-e-jibillat tha be-kar rahna

samajhte hain sheron ko bhi narm chaara

ghazalan-e-shahri se hoshyar rahna

(1080) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Gham-zadon Ke Bhi Gham-KHwar Rahna In English By Famous Poet Ismail Merathi. Zara Gham-zadon Ke Bhi Gham-KHwar Rahna is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Zara Gham-zadon Ke Bhi Gham-KHwar Rahna for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Zara Gham-zadon Ke Bhi Gham-KHwar Rahna in PDF.