Barsat

wo dekho uThi kali kali ghaTa

hai chaaron taraf chhane wali ghaTa

ghaTa ke jo aane ki aahaT hui

hawa mein bhi ek sansanahaT hui

ghaTa aan kar meinh jo barsa gai

to be-jaan miTTi mein jaan aa gai

zamin sabze se lahlahane lagi

kisanon ki mehnat Thikane lagi

jaDi-buTiyan peD aae nikal

ajab bel patte ajab phul phal

har ek peD ka yak naya Dhang hai

har ek phul ka ek naya rang hai

ye do din mein kya majra ho gaya

ki jangal ka jangal hara ho gaya

jahan kal tha maidan chaTyal paDa

wahan aaj hai ghas ka ban paDa

hazaron phudakne lage jaanwar

nikal aae goya ki miTTi ke par

(4640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barsat In English By Famous Poet Ismail Merathi. Barsat is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Barsat for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Barsat in PDF.