ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija

ek bachcha ki abhi kuchh use tamiz na thi

lahw-bazi se pasandida koi chiz na thi

khelna kudna khana yahi mamul tha bas

inhin tiflana tamannaon mein mashghul tha bas

ek talab tha do-chaar qadam ghar se pare

dil mein lahr aai lab-e-ab zara sair kare

saf pani se jo talab ko paya labrez

khel ka shauq tabiat mein hua aur bhi tez

aas-pas apne jo paya koi kankar patthar

phenk mara use pani mein bahut KHush ho kar

khel tha pahle to ab turfa-tamasha dekha

dil hi dil mein mutahayyar tha ki ye kya dekha

daera ek bana aisa ki baDhta hai muhit

gher li jis ne ki talab ki sab sath-e-basit

phir to khel us ka isi shaghl pe mauquf raha

isi nazzare mein ta-der wo masruf raha

isi asna mein hua bachche ki man ka bhi guzar

bola amman mujhe aai hai ajab chiz nazar

jo na dekhi na suni thi kabhi ab se pahle

shayad aai hai nazar mujh ko hi sab se pahle

ek zara si harakat aur ye tasir ajib

daera baDh ke pahunchta hai kinare ke qarib

bas-ki ji jaan se is shobade par tha shaida

wusat-e-daera ki apni amal se paida

thi wo man ahl-e-dil aur nek-manush nek-nihad

hans ke farmaya meri jaan ye nasihat rakh yaad

yunhi har kaam ka ho jata hai anjam baDa

go ki aaghaz mein hota nahin wo kaam baDa

kabhi adna harakat zalzala ban jati hai

kabhi nachiz si ek baat ghazab Dhati hai

yahi andaz-e-nikokari o bad-kari hai

awwalan KHas thi ab aam mein wo jari hai

(2101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija In English By Famous Poet Ismail Merathi. ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija is written by Ismail Merathi. Read famous Poem ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija in PDF.