ChiDiya Ke Bachche

do tin chhoTe bachche chiDiya ke ghonsle mein

chup-chap lag rahe hain sine se apni man ke

chiDiya ne mamta se phaila ke donon bazu

apne paron ke andar bachchon ko Dhak liya hai

is tarah roz-marra karti hai man hifazat

sardi se aur hawa se rakhti hai garm un ko

lekin chiDa gaya hai chugga talash karne

dana kahin kahin se puTe mein apne bhar kar

jab laega to bachche munh khol denge jhaT-paT

un ko bharaega wo man aur bap donon

bachchon ki parwarish mein masruf hain barabar

aur chhoTe bachche KHush hain taklif kuchh nahin hai

ai chhoTe chhoTe bachcho tum unche ghonsle se

hargiz nahin giroge par aur purze ab tak

nikle nahin tumhaare, is waste abhi tum

unche na uD sakoge, han jab tumhaare bazu

aur par durust honge to din ki raushni mein

sikhoge tum bhi uDna karte phiroge chen-chen

uDte phiroge phur-phur ai chhoTe bachcho lekin

kawwa buri bala hai us se KHuda bachae

(2090) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChiDiya Ke Bachche In English By Famous Poet Ismail Merathi. ChiDiya Ke Bachche is written by Ismail Merathi. Read famous Poem ChiDiya Ke Bachche for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download ChiDiya Ke Bachche in PDF.