Dal Ki Fariyaad

ek laDki baghaarti hai dal

dal karti hai arz yun ahwal

ek din tha hari-bhari thi main

sari aafat se bari thi main

tha hara khet mera gahwara

wo watan tha mujhe bahut pyara

pani pi pi ke thi main lahraati

dhup leti kabhi hawa khati

meinh barasta tha jhonke aate the

godiyon mein mujhe khilate the

yahi suraj zamin the man bawa

mujh se karte the nek bartawa

jab kiya mujh ko pal-pos baDa

aah zalim kisan aan paDa

gai taqdir yak-ba-yak jo palaT

khet ka khet kar diya talpaT

KHub luTa dhaDi dhaDi kar ke

mujh ko gaunon mein le gae bhar ke

ho gai dam ke dam mein barbaadi

chhin gai hae meri aazadi!

kya bataun kahan kahan khincha

dal-manDi mein mujh ko ja becha

ek zalim se wan paDa pala

jis ne chakki mein mujh ko dal Dala

hua taqdir ka likha pura

donon paTon ne kar diya chura

na suni meri aah aur zari

KHub baniye ne ki KHaridari

chhana chhalni mein chhaj mein phaTka

qaid-KHana mera bana maTka

phir muqaddar mujhe yahan laya

tum ne to aur bhi ghazab Dhaya

khaal khinchi alag kiye chhilke

zaKHm kyun-kar hare na hon dil ke

Dalin marchen namak lagaya KHub

rakh ke chulhe pe ji jalaya KHub

us pe kaf-gir ke bhi Thoke hain

aur naKHun ke bhi kachoke hain

mere galne ki le rahi ho KHabar

dant hai aap ka mere upar

garm ghi kar ke mujh ko dagh diya

hae tum ne bhi kuchh na rahm kiya

hath dho kar paDi ho pichhe tum

jaan par aa bani hawas hain gum

achchhi bi-bi tumhin karo insaf

zulm hai ya nahin qusur-muaf

kaha laDki ne meri pyari dal

mujh ko malum hai tera sab haal

tu agar khet se nahin aati

KHak mein mil ke KHak ho jati

ya koi gae bhains char leti

peT mein apne tujh ko bhar leti

main to rutba tera baDhati hun

ab chapati se tujh ko khati hun

na satana na ji jalana tha

yun tujhe aadmi banana tha

agli biti ka tu na kar kuchh gham

mehrbani thi sab, na tha ye sitam

(2785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dal Ki Fariyaad In English By Famous Poet Ismail Merathi. Dal Ki Fariyaad is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Dal Ki Fariyaad for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Dal Ki Fariyaad in PDF.