Ek Pauda Aur Ghas

ittifaqan ek pauda aur ghas

bagh mein donon khaDe hain pas pas

ghas kahti hai ki ai mere rafiq

kya anokha is jahan ka hai tariq

hai hamari aur tumhaari ek zat

ek qudarat se hai donon ki hayat

miTTi aur pani hawa aur raushni

waste donon ke yaksan hai bani

tujh pe lekin hai inayat ki nazar

phenk dete hain mujhe jaD khod kar

sar uThane ki mujhe fursat nahin

aur hawa khane ki bhi ruKHsat nahin

kaun deta hai mujhe yan phailne

kha liya ghoDe gadhe ya bail ne

tujh pe munh Dale jo koi jaanwar

us ki li jati hai DanDe se KHabar

ole pale se bachate hain tujhe

kya hi izzat se baDhate hain tujhe

chahte hain tujh ko sab karte hain pyar

kuchh pata us ka bata ai dost-dar

us se paude ne kaha yun sar hila

ghas sab sachcha hai tera ye gila

mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz

sirf saya aur mewa hai aziz

faeda ek roz mujh se paenge

sae mein baiThenge aur phal khaenge

hai yahan izzat ka sahra us ke sar

jis se pahunche nafa sab ko besh-tar

(1723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pauda Aur Ghas In English By Famous Poet Ismail Merathi. Ek Pauda Aur Ghas is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Ek Pauda Aur Ghas for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Ek Pauda Aur Ghas in PDF.