Ek Waqt Mein Ek Kaam
hai kaam ke waqt kaam achchha
aur khel ke waqt khel zeba
jab kaam ka waqt ho karo kaam
bhule se bhi khel ka na lo nam
han khel ke waqt KHub khelo
kudo phando ki DanD pelo
KHush rahne ka hai yahi tariqa
har baat ka sikhiye saliqa
himmat ko na haariyo KHuda-ra
mat DhunDiyo ghair ka sahaara
apni himmat se kaam karna
mushkil ho to chahiye na Darna
jo kuchh ho so apne dam qadam se
kya kaam hai ghair ke karam se
mat chhoDiyo kaam ko adhura
be-kar hai jo hua na pura
har waqt main sirf ek hi kaam
pa sakta hai behtari se anjam
jab kaam mein kaam aur chheDa
donon hi mein paD gaya bakheDa
jo waqt guzar gaya akarat
afsos! hua KHazana ghaarat
hai kaam ke waqt kaam achchha
aur khel ke waqt khel zeba
(3101) Peoples Rate This