Garmi Ka Mausam

may ka aan pahuncha hai mahina

baha choTi se eDi tak pasina

baje bara to suraj sar pe aaya

hua pairon tale poshida saya

chali lu aur taDaqe ki paDi dhup

lapaT hai aag ki goya kaDi dhup

zamin hai ya koi jalta tawa hai

koi shoala hai ya pachhua hawa hai

dar-o-diwar hain garmi se tapte

bani-adam hain machhli se taDapte

parinde uD ke hain pani pe girte

charinde bhi hain ghabrae se phirte

darinde chhup gae hain jhaDiyon mein

magar Dube paDe hain khaDiyon mein

na puchho kuchh gharibon ke makan ki

zamin ka farsh hai chhat aasman ki

na pankha hai na TaTTi hai na kamra

zara si jhonpaDi mehnat ka samra

amiron ko mubarak ho haweli

gharibon ka bhi hai allah beli

(7081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garmi Ka Mausam In English By Famous Poet Ismail Merathi. Garmi Ka Mausam is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Garmi Ka Mausam for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Garmi Ka Mausam in PDF.