Mulamma Ki AnguThi

chandi ki anguThi pe jo sone ka chaDha jhol

ochhi thi lagi bolne itra ke baDa bol

ai dekhne walo tumhi insaf se kahna

chandi ki anguThi bhi hai kuchh gahnon mein gahna

wo aur hai main aur ye zillat na sahungi

main qaum ki unchi hun baDa mera gharana

wo zat ki ghaTiya hai nahin us ka Thikana

meri si kahan chashni mera sa kahan rang

wo mol mein aur tol mein mere nahin passang

meri si chamak us mein na meri si damak hai

chandi hai ki hai rang mujhe is mein bhi shak hai

ye sunte hi chandi ki anguThi bhi gai jal

allah-re mulamme ki anguThi tere chhal-bal

sone ki mulamme pe na itra meri pyari

do din mein bhaDak us ki utar jaegi sari

kuchh der haqiqat ko chhupaya bhi to phir kya

jhuTon ne jo sachchon ko chaDhaya bhi to phir kya

mat bhul kabhi asal tu apni ari ahmaq

jab taw diya jaega ho jaega munh faq

sachche ki to izzat hi baDhegi jo karen jaanch

mashhur masal hai ki nahin sanch ko kuchh aanch

khone ko khara ban ke nikharna nahin achchha

chhoTe ko baDa ban ke ubharna nahin achchha

(3734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mulamma Ki AnguThi In English By Famous Poet Ismail Merathi. Mulamma Ki AnguThi is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Mulamma Ki AnguThi for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Mulamma Ki AnguThi in PDF.