Nasihat

kare dushmani koi tum se agar

jahan tak bane tum karo darguzar

karo tum na hasid ki baaton pe ghaur

jale jo koi us ko jalne do aur

agar tum se ho jae sarzad qusur

to iqrar o tauba karo bizzarur

badi ki ho jis ne tumhaare KHilaf

jo chahe muafi to kar do muaf

nahin, balki tum aur ehsan karo

bhalai se us ko pasheman karo

hai sharmindagi us ke dil ka ilaj

saza aur malamat ki kya ehtiyaj

bhalai karo to karo be-gharaz

gharaz ki bhalai to hai ek maraz

jo muhtaj mange to do tum udhaar

raho wapsi ke na ummid-war

jo tum ko KHuda ne diya hai to do

na KHissat karo is mein jo ho so ho

(2817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nasihat In English By Famous Poet Ismail Merathi. Nasihat is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Nasihat for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Nasihat in PDF.