Aasmanon Sa Khula-pan Bhi Mujhe Chahiye Hai

aasmanon sa khula-pan bhi mujhe chahiye hai

panw thak jaen to maskan bhi mujhe chahiye hai

dosto tum se umiden to bahut kuchh thin par ab

ek maqul sa dushman bhi mujhe chahiye hai

qabl-e-manzil kahin luT jaane ki hasrat hai bahut

rahbar hi nahin rahzan bhi mujhe chahiye hai

masale kam nahin waise hi sulajhne ke liye

aur teri zulf ki uljhan bhi mujhe chahiye hai

waqt ke sath badalti nahin tahrir-e-nihad

titliyan dekhun to bachpan bhi mujhe chahiye hai

ab to is shart pe chahun main tere husn ki aanch

aag lag jae to sawan bhi mujhe chahiye hai

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasmanon Sa Khula-pan Bhi Mujhe Chahiye Hai In English By Famous Poet Izhar Varsi. Aasmanon Sa Khula-pan Bhi Mujhe Chahiye Hai is written by Izhar Varsi. Read famous Poem Aasmanon Sa Khula-pan Bhi Mujhe Chahiye Hai for youth and Student by Izhar Varsi. Free Download Aasmanon Sa Khula-pan Bhi Mujhe Chahiye Hai in PDF.