Yaadon Mein Rang Bhar Raha Hun

yaadon mein rang bhar raha hun

zaKHmon ko gulab kar raha hun

har sans ek an-suni si aahaT

main jaane kis pe mar raha hun

duniyaen wajud pa rahi hain

reza reza bikhar raha hun

ek lamha-e-gum-shuda ki KHatir

sadiyon ka hisab kar raha hun

maqsud-e-safar hai kuchh to aisa

shoalon se jo guzar raha hun

hai ek junun-e-KHud-shanasi

akasr apne hi sar raha hun

tufan guzar chuka hai kab ka

ab dariya sa utar raha hun

rishte mazbut ho rahe hain

peshaniyon par ubhar raha hun

tha faKHr bahut falak-rasi par

KHud apne par ab katar raha hun

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Mein Rang Bhar Raha Hun In English By Famous Poet Izhar Varsi. Yaadon Mein Rang Bhar Raha Hun is written by Izhar Varsi. Read famous Poem Yaadon Mein Rang Bhar Raha Hun for youth and Student by Izhar Varsi. Free Download Yaadon Mein Rang Bhar Raha Hun in PDF.