Usne Apna Liya To Thahra Main

us ne apna liya to Thahra main

wo samundar hai aur dariya main

us ki wusat mein wusaten meri

us ki gahraiyon mein gahra main

sang barse ki phul mat puchho

TuTna tha mujhe so TuTa main

ham-nashin kya jo ham-KHayal nahin

anjuman anjuman hun tanha main

rabt-e-guft-o-shunid ho to khule

log gunge hain ya hun bahra main

ab na jazba na aarzu na umid

bin diwanon ka ek sahra main

yaad rakhna hi na-guzir hai kyun

kabhi tujh ko bhula bhi sakta main

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Apna Liya To Thahra Main In English By Famous Poet Izhar Varsi. Usne Apna Liya To Thahra Main is written by Izhar Varsi. Read famous Poem Usne Apna Liya To Thahra Main for youth and Student by Izhar Varsi. Free Download Usne Apna Liya To Thahra Main in PDF.