Hai Hamari Dosti Ka Yahi MuKHtasar Fasana

hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana

tera shauq-e-KHud-numai mera zauq-e-ashiqana

hai hamari zindagi par kisi aur ka tasallut

na to ye tera zamana na to ye mera zamana

teri be-ruKHi ka shikwa teri dosti ka dawa

mujhe Dar hai ban na jae meri qaid ka bahana

ye ajib kashmakash hai ki hain hum baham muqabil

mera dil tera nishana tera dil mera nishana

hai ye aadmi patanga isi sham-e-arzu ka

kabhi aarzu haqiqat kabhi aarzu fasana

teri chah thi jo dil mein wahi ruh thi badan mein

ye idhar hui rawana wo udhar hui rawana

mera dil jalane wale zara is pe ghaur kar le

mera dil nahin hai zalim hai ye tera aashiyana

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Hamari Dosti Ka Yahi MuKHtasar Fasana In English By Famous Poet J. P. Saeed. Hai Hamari Dosti Ka Yahi MuKHtasar Fasana is written by J. P. Saeed. Read famous Poem Hai Hamari Dosti Ka Yahi MuKHtasar Fasana for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download Hai Hamari Dosti Ka Yahi MuKHtasar Fasana in PDF.