KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila

KHushi mili na agar mujh ko zauq-e-gham to mila

mili na daulat-e-duniya mujhe qalam to mila

KHushi mein KHush hun to gham mein bhi muskuraata hun

ki mujh ko zarf-e-pazirai-e-alam to mila

nahin hai kam kisi jamshed se meri taqdir

ba-shakl-e-qalb mujhe ek jam-e-jam to mila

ghalat hai umr kaTi meri sari kulfat mein

sukun zer-e-sama mujh ko ek-dam to mila

ye zindagi ke kaDe kos kis tarah kaTte

KHusha-nasib ki ek ham-safar sanam to mila

nahin hai manzil-e-maqsud ab ziyaada dur

sambhaal KHud ko qadam se mere qadam to mila

na kyun ho apne muqaddar pe naz mujh ko 'said'

ba-fazl-e-rab sharaf-e-bosa-e-haram to mila

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila In English By Famous Poet J. P. Saeed. KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila is written by J. P. Saeed. Read famous Poem KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila in PDF.