Yaqin Jis Ka Hai Wo Baat Bhi Guman Hi Lage

yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

wo mehrban hai lekin bala-e-jaan hi lage

hum itni martaba guzre hain aazmaish se

wo sidhi baat bhi puchhe to imtihan hi lage

taras gae hain ki khul kar kisi se baat karen

har aashna hamein ghairon ka raazdan hi lage

ho jaise kaifiyat-e-dil ka aaina manzar

wo ham-safar ho to sahra bhi gulistan hi lage

main jaise markazi kirdar hun kahani ka

koi fasana ho wo meri dastan hi lage

tere KHayal se nisbat ka ab ye aalam hai

kahin jhukaun jabin tera aastan hi lage

mere watan ke sabhi log chand-tare hain

zamin us ki mujhe jaise aasman hi lage

'said' baad-e-samaat nawa-e-mutrib hai

KHushi ka git bhi ab naghma-e-fughan hi lage

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Jis Ka Hai Wo Baat Bhi Guman Hi Lage In English By Famous Poet J. P. Saeed. Yaqin Jis Ka Hai Wo Baat Bhi Guman Hi Lage is written by J. P. Saeed. Read famous Poem Yaqin Jis Ka Hai Wo Baat Bhi Guman Hi Lage for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download Yaqin Jis Ka Hai Wo Baat Bhi Guman Hi Lage in PDF.