Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah

tham gae ashk bhi barse hue baadal ki tarah

dil ki betabi wahi aaj bhi hai kal ki tarah

main bhi hun ashk-fishan aap akele hi nahin

mera daman bhi hai nam aap ke aanchal ki tarah

jam-o-saghar hi pe mauquf nahin hai saqi

hum bhi gardish mein hain ek daur-e-musalsal ki tarah

intizar-e-shab-e-wada ki na puchho rudad

raat aankhon mein kaTi hai kisi bekal ki tarah

kisi ummid ka maskan na tamanna ka mahal

dil ki virani hai sunsan se jangal ki tarah

aap jal jae magar auron ko mahzuz kare

zindagi tum bhi guzaro yun hi sandal ki tarah

tere jalne se agar tirgi kam ho ai dil

tu bhi jal ja kisi jalti hui mashal ki tarah

lashen bikhri hain tamannaon ki armanon ki

qalb ka ganj-e-shahidan bhi hai maqtal ki tarah

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah In English By Famous Poet J. P. Saeed. Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah is written by J. P. Saeed. Read famous Poem Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah in PDF.