Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai

shikast-o-fath-e-muqabil se be-niyaz to hai

ba-faiz-e-dar-o-rasan ishq sarfaraaz to hai

usi se niklenge naghmat-e-zindagi-parwar

shikasta hi wo sahi dil bhi ek saz to hai

hazar qismat-o-mahaul zimmedar sahi

meri tabahi se un ka bhi saz-baz to hai

ghurur-e-husn salamat magar ye kya kam hai

hamara dil bhi harif-e-nigah-e-naz to hai

hua hai fash jahan par zaban pe aae baghair

dil-o-nigah ke mabain koi raaz to hai

ata-e-baada ke inkar se ye bhed khula

ki mai-kashon mein tere pas imtiyaz to hai

mujhe talash-e-masarrat ki kya zarurat hai

KHushi ye kam nahin dil mera gham-nawaz to hai

nahin 'said' mere pas shaukat-e-alfaz

meri ghazal mein magar qalb ka gudaz to hai

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai In English By Famous Poet J. P. Saeed. Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai is written by J. P. Saeed. Read famous Poem Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai in PDF.