Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin

sahar ka nur hai taron ka inikas nahin

fareb-KHurda ho tum ya ziya-shanas nahin

jabin-e-subh pe tahrir hai ye KHatt-e-jali

nae nizam mein tafriq-e-am-o-KHas nahin

ye kis wasuq se anwar-e-subh kahte hain

nai hayat se koi bhi wajh-e-yas nahin

ye aur baat hai dil KHun ho gaya gham se

nazar mein aap ki ab bhi koi udas nahin

wo aur honge jinhen zindagi ke aish mile

yahan to ek tabassum bhi hum ko ras nahin

fareb-o-kizb dariya se main be-talluq hun

ba-juz KHulus-o-wafa kuchh bhi mere pas nahin

'said' dost mile hain mujhe kuchh aise bhi

ki jin ko mehr-o-mohabbat ka koi pas nahin

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin In English By Famous Poet J. P. Saeed. Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin is written by J. P. Saeed. Read famous Poem Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin for youth and Student by J. P. Saeed. Free Download Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin in PDF.