Wo Log Hi Har Daur Mein Mahbub Rahe Hain

wo log hi har daur mein mahbub rahe hain

jo ishq mein talib nahin matlub rahe hain

tufan ki aawaz to aati nahin lekin

lagta hai safine se kahin Dub rahe hain

un ko na pukaro gham-e-dauran ke laqab se

jo dard kisi nam se mansub rahe hain

hum bhi teri surat ke parastar hain lekin

kuchh aur bhi chehre hamein marghub rahe hain

alfaz mein izhaar-e-mohabbat ke tariqe

KHud ishq ki nazron mein bhi mayub rahe hain

is ahd-e-basirat mein bhi naqqad hamare

har ek baDe nam se marub rahe hain

itna bhi na ghabrao nai tarz-e-ada se

har daur mein badle hue uslub rahe hain

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Log Hi Har Daur Mein Mahbub Rahe Hain In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Wo Log Hi Har Daur Mein Mahbub Rahe Hain is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Wo Log Hi Har Daur Mein Mahbub Rahe Hain for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Wo Log Hi Har Daur Mein Mahbub Rahe Hain in PDF.