Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan

wo hum se aaj bhi daman-kashan chale hai miyan

kisi pe zor hamara kahan chale hai miyan

jahan bhi thak ke koi karwan Thaharta hai

wahin se ek naya karwan chale hai miyan

jo ek samt guman hai to ek samt yaqin

ye zindagi to yunhi darmiyan chale hai miyan

badalte rahte hain bas nam aur to kya hai

hazaron sal se ek dastan chale hai miyan

har ek qadam hai nai aazmaishon ka hujum

tamam umr koi imtihan chale hai miyan

wahin pe ghumte rahna to koi baat nahin

zamin chale hai to aage kahan chale hai miyan

wo ek lamha-e-hairat ki lafz sath na den

nahin chale hai na aise mein han chale hai miyan

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan in PDF.