Ufuq Agarche Pighalta Dikhai PaDta Hai

ufuq agarche pighalta dikhai paDta hai

mujhe to dur sawera dikhai paDta hai

hamare shahr mein be-chehra log baste hain

kabhi kabhi koi chehra dikhai paDta hai

chalo ki apni mohabbat sabhi ko banT aaen

har ek pyar ka bhuka dikhai paDta hai

jo apni zat se ek anjuman kaha jae

wo shaKHs tak mujhe tanha dikhai paDta hai

na koi KHwab na koi KHalish na koi KHumar

ye aadmi to adhura dikhai paDta hai

lachak rahi hain shuaon ki siDhiyan paiham

falak se koi utarta dikhai paDta hai

chamakti ret pe ye ghusl-e-aftab tera

badan tamam sunahra dikhai paDta hai

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ufuq Agarche Pighalta Dikhai PaDta Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Ufuq Agarche Pighalta Dikhai PaDta Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Ufuq Agarche Pighalta Dikhai PaDta Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Ufuq Agarche Pighalta Dikhai PaDta Hai in PDF.