Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte

tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte

lahu ki garm bundon ko charaghan hum nahin kahte

agar had se guzar jae dawa to ban nahin jata

kisi bhi dard ko duniya ka darman hum nahin kahte

nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi

kisi bhi husn ko husn-e-farawan hum nahin kahte

kisi aashiq ke shane par bikhar jae to kya kahna

magar is zulf ko zulf-e-pareshan hum nahin kahte

na bu-e-gul mahakti hai na shaKH-e-gul lachakti hai

abhi apne gulistan ko gulistan hum nahin kahte

bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin

shaguft-e-gul ko aashiq ka gareban hum nahin kahte

hazaron sal bite hain hazaron sal bitenge

badal jaegi kal taqdir-e-insan hum nahin kahte

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte in PDF.