Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka

kabhi to sochna tum un udas aankhon ka

ye ratjagon mein ghiri mahw-e-yas aankhon ka

main ghar gai thi kahin wahshaton ke jangal mein

tha ek hujum mere aas pas aankhon ka

barahnagi tere andar kahin panapti hai

libas DhunD koi be-libas aankhon ka

tumhaare hijr ka mausam hi ras aaya mujhe

yahi tha ek tabiat-shanas aankhon ka

usi ki nazr sabhi ratjage sabhi ninden

aur us ki aankhon ke nam iqtibas aankhon ka

paDi rahe teri taswir samne yunhi

ye zar khila rahe aankhon ke pas aankhon ka

KHayal tha ki wo abr is taraf se guzrega

so ye bhi 'jaanan' tha wahm-o-qayas aankhon ka

(1371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka In English By Famous Poet Jaanaan Malik. Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka is written by Jaanaan Malik. Read famous Poem Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka for youth and Student by Jaanaan Malik. Free Download Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka in PDF.