Kis Ki Khoi Hui Hansi Thi Main

kis ki khoi hui hansi thi main

kis ke honTon pe aa gai thi main

kin zamanon pe munkashif hui hun

kin zamanon ki raushni thi main

main kisi shaKHs ki udasi thi

sard lahje mein bolti thi main

din Dhale lauTte parindon ko

ghar ki khiDki se dekhti thi main

kash ek bar dekh lete tum

raste mein paDi hui thi main

ab jo afsurdagi ki chadar hun

mausam-e-gul ki oDhni thi main

KHud ko daryaft karne nikli hun

yani KHud se kahin KHafi thi main

gungunata tha shab ke pichhle pahar

jaane kis dil ki ragni thi main

phir december tha sard raaten thin

shahr sota tha jagti thi main

us ne jab hath hath par rakkha

surKH phulon se bhar gai thi main

aaj dekha tha aaina main ne

aur phir der tak hansi thi main

jaane kya baat yaad aai mujhe

hanste hanste jo ro paDi thi main

main ne ek sham pa liya tha use

us se ek raat kho gai thi main

jaanta kaun mujh ko mere siwa

ghar ke andar bhi ajnabi thi main

meri parten nahin khulin ab tak

dewtaon ki shairi thi main

KHud se Takra gai thi 'jaanan' kahin

apne raste mein aa gai thi main

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ki Khoi Hui Hansi Thi Main In English By Famous Poet Jaanaan Malik. Kis Ki Khoi Hui Hansi Thi Main is written by Jaanaan Malik. Read famous Poem Kis Ki Khoi Hui Hansi Thi Main for youth and Student by Jaanaan Malik. Free Download Kis Ki Khoi Hui Hansi Thi Main in PDF.