Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile

chaman mein KHar hi kya gul bhi dil-figar mile

fareb-KHurda-e-rangini-e-bahaar mile

maza to jab hai ki wo aaftab-e-subh-e-jamal

gale lipaT ke sar-e-sham-e-intizar mile

nigah-e-yas se munh tak raha hun ek ek ka

koi to bazm-e-raqiban mein gham-gusar mile

jinhon ne apne lahu se chaman ko sincha tha

unhin ke jaib-o-gareban tar tar mile

main un ke wadon ka yun bhi yaqin karta hun

mile mile na mile lutf-e-intizar mile

qafas ke baad chaman mein ye dekhna hai mujhe

KHizan mile ki wahan mausam-e-bahaar mile

wahi to fikr-e-suKHan aaj-kal kare 'jafar'

jise hayat ka mahaul KHush-gawar mile

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile in PDF.