Dasht Mein Gulshan Mein Har Ja Ki Hai Teri Justuju

dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju

ab kahan le ja raha hai ai fareb-e-rang-o-bu

aap itna to bata den kab karam hoga huzur

kab murawwat mein badal jaegi ye nafrat ki KHu

sadagi-e-dil pe apni rashk aata hai mujhe

ek wafa na-ashna se hai wafa ki aarzu

ishq ki manzil mein lakhon karwan gum ho gae

rahraw-e-rah-e-mohabbat kya karenge justuju

rah gae hain ab to le de kar dil-e-barbaad mein

hasrat-e-didar ka gham aur teri aarzu

de rahi hai apne daman ki hawa baad-e-sahar

teri zulf-e-ambarin hai ek jahan-e-rang-o-bu

jab kabhi saqi ne 'jafar' apni nazren pher lin

mai-kade mein pi liya hai main ne arman ka lahu

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Mein Gulshan Mein Har Ja Ki Hai Teri Justuju In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Dasht Mein Gulshan Mein Har Ja Ki Hai Teri Justuju is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Dasht Mein Gulshan Mein Har Ja Ki Hai Teri Justuju for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Dasht Mein Gulshan Mein Har Ja Ki Hai Teri Justuju in PDF.