Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad

jawani ki umangon ka yahi anjam hai shayad

chale aao ki wade ki suhani sham hai shayad

jo tishna tha kabhi saqi wo tishna-kaam hai shayad

usi bais to nazm-e-mai-kada badnam hai shayad

hansi ke sath bhi aansu nikal aate hain aankhon se

KHushi to meri qismat mein barae-nam hai shayad

jise mai-KHwar pi ke mai-kade mein raqs karte hain

teri aankhon ki masti saqi-e-gulfam hai shayad

uDai shama ne jab KHak-e-parwana to main samjha

mohabbat karne walon ka yahi anjam hai shayad

jo ab tak mai-kashon ke pas muddat se nahin aai

abhi gardish mein KHud hi gardish-e-ayyam hai shayad

main danista ab un ke samne KHamosh hun 'jafar'

KHamoshi bhi meri ab morid-e-ilzam hai shayad

(568) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad in PDF.