Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai

jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai

chahne walon ke wo dil se utar jata hai

jis taraf sehn-e-chaman se wo guzar jata hai

rang phulon ka kahin aur nikhar jata hai

aa bhi jao ki dua mang raha hun kab se

baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai

umr-bhar karwaTen leta hai wo paikan-e-nazar

aankh ki rah se jo dil mein utar jata hai

mere kahne se zara zulf sanwaro to sahi

log kahte hain muqaddar bhi sanwar jata hai

bahr-e-gham mein teri yaadon ka sahaara le kar

gham ka tufan bhi mere sar se guzar jata hai

yak-ba-yak kaise bhula dun unhen 'jafar' dil se

jate jate hi mohabbat ka asar jata hai

(583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai In English By Famous Poet Jafar Abbas Safvi. Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai is written by Jafar Abbas Safvi. Read famous Poem Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai for youth and Student by Jafar Abbas Safvi. Free Download Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai in PDF.