Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par

abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par

palaT ke dekhiye aate hain kab makanon par

KHayal-e-KHam mein guzri hai zindagi sari

haqiqaton ka guman hai abhi fasanon par

qadam qadam pe tazadon se sabiqa hai jahan

yaqin kaise kare koi in gumanon par

wo jis ki chah mein mar mar ke ji rahe hain yahan

na jaane kaun si basti hai aasmanon par

jahan bhi tir laga bas wahi hadaf Thahra

hai phir bhi zoam bahut un ko in kamanon par

main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun

madar-e-zist hi jin ka hai kuchh bahanon par

kaDi hai dhup jhulasti hain ab dalilen sabhi

yaqin hai phir bhi unhen kitna saebanon par

nazar mein zehn mein dil mein kushadgi lao

hawa ke ruKH ka taqaza hai baadbanon par

na jaane kitni hi sadiyan lagengi aur abhi

dilon ki baat jab aa paegi zabanon par

ajib un ko saliqa hai khul ke jine ka

nai hai kaun si tohmat ye hum diwanon par

hamari zat se aabaad kuchh KHarabe hain

hai apne dam se ujala kai maqamon par

KHirad-nawaz junun aur junun-nawaz KHirad

hain ab bhi nur tariqe ye kuchh Thikanon par

use jagao Dase tum ko mar Dale tumhein

tumhaari zat mein baiTha hai jo KHazanon par

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par In English By Famous Poet Jafar Abbas. Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par is written by Jafar Abbas. Read famous Poem Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par for youth and Student by Jafar Abbas. Free Download Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par in PDF.