Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra

ajib baat thi har sher pur-asar Thahra

main is ki bazm mein kal raat ba-hunar Thahra

hua jo aa ke wo mehman baad muddat ke

lahun mein raqs hua baam par qamar Thahra

mumanat ka taqaza tha jis se dur rahen

chaman mein wo hi shajar sab se ba-samar Thahra

junun ki bhik kahin bhi na mil saki us ko

gada-e-hosh yahan garche dar-ba-dar Thahra

ajib raqs tha bismil ka har tamashai

taDap ke dard se yaksar hi be-KHabar Thahra

aqidaton ke dhundlakon mein aur kya hota

har ek fiqra yahan us ka mo'atabar Thahra

mujhe na qatl karen bas payam laya hun

meri haqiqat hi kya main to nama-bar Thahra

safina garche kinare pe ja laga lekin

sawal ye hai idhar Thahra ya udhar Thahra

na jaane kitni hi samten bula rahi hain mujhe

har ek qadam pe hai mujh ko naya safar Thahra

na dekh paya koi aankh-bhar ke aaina

KHud apna chehra yahan bais-e-mafar Thahra

Thahar ke jis ne bhi kuchh der KHud ko dekh liya

wo apni wahshat-e-be-ja ka chaaragar Thahra

hai jaane kitne hi pardon mein mahw-e-araish

jhalak bhi dekh li jis ne wo dida-war Thahra

har ek shai se mohabbat hai bas ilaj yahan

bas ek nusKHa yahi hai jo kargar Thahra

shurua hua tha abhi aur qarib KHatm hai ab

ye zindagi ka safar kitna muKHtasar Thahra

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra In English By Famous Poet Jafar Abbas. Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra is written by Jafar Abbas. Read famous Poem Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra for youth and Student by Jafar Abbas. Free Download Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra in PDF.