Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten

apne lail-o-nahaar ki baaten

jabr ki iKHtiyar ki baaten

har taraf kab se ho rahi hain yahan

gardish-e-rozgar ki baaten

chaar-su yan pe maujzan hain sarab

zist ke regzar ki baaten

ek zamana guzar gaya yunhi

hum hain aur dasht-e-KHar ki baaten

is kaDi dhup mein mazahib mein

shajar-e-saya-dar ki baaten

hai zamin saKHt aasman chup hai

wah re parwardigar ki baaten

jis ki ek bhi jhalak na dekhi kabhi

kya hon us parda-dar ki baaten

mat karo be-hisar ki baaten

mat karo be-kanar ki baaten

ye jo pyari zamin mili hai tumhein

bas karo is dayar ki baaten

gar karo apne dil ki baat karo

han isi sogwar ki baaten

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten In English By Famous Poet Jafar Abbas. Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten is written by Jafar Abbas. Read famous Poem Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten for youth and Student by Jafar Abbas. Free Download Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten in PDF.