Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin

ek ek kar ke ho gae ruKHsat ab koi arman nahin

dil mein gahra sannaTa hai ab koi mehman nahin

tum ne bhi sun rakkha hoga hum bhi sunte aae hain

jis ke dil mein dard na ho wo patthar hai insan nahin

dard kaDa ho to bhi aksar patthar ban jate hain log

marne ki ummid nahin hai jine ka saman nahin

kuchh mat bolo chup ho jao baaton mein kya rakkha hai

kyun karte ho aisi baaten jin baaton mein jaan nahin

auron jaisi baaten mujh ko bhi karni paDti hain rose

ye to meri majburi hai ye meri pahchan nahin

meri baaten sidhi sachchi un mein koi pech nahin

in ko 'mir' ki ghazlen jaano 'ghaalib' ka diwan nahin

dil ko bahlane ki KHatir hum bhi kya kya karte hain

KHub samajhta hai wo bhi sab aisa bhi nadan nahin

raat gae aksar yun hi kyun phuT phuT kar rote ho

KHak tale sone walon se milne ka imkan nahin

wo tha mere dukh ka sathi aur tumhein kya batlaen

us ka mera jo rishta tha us rishte ka nam nahin

wo hota to phir bhi shayad dard pe kuchh qabu rahta

tanhai se tanha laDna kuchh aisa aasan nahin

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin In English By Famous Poet Jafar Abbas. Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin is written by Jafar Abbas. Read famous Poem Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin for youth and Student by Jafar Abbas. Free Download Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin in PDF.