Har Ek Haal Mein Chalne Se Jis Ko Kaam Raha

har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha

wo shaKHs qaid-e-yaran-e-tez-gam raha

safar alamat-e-hasti safar dalil-e-hayat

KHusha wo log safar jin ka na-tamam raha

hayat-e-gul ka hayat-e-chaman hai paimana

amar hai phul chaman ko agar dawam raha

bayaz-e-mehr nigal kar bhi raat raat rahi

siyahkar ka chehra siyah-fam raha

hayat-o-maut ke sangam pe ji rahe hain hum

hamara jashn-e-tarab bhi gham-iltizam raha

zamana KHud ko muKHatab samajh na le mera

main apne aap se dar-asl ham-kalam raha

ajib 'jafar'-e-farKHanda-jaan ka mashrab hai

ki rind ho ke bhi KHush-baKHt nek-nam raha

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Haal Mein Chalne Se Jis Ko Kaam Raha In English By Famous Poet Jafar Baluch. Har Ek Haal Mein Chalne Se Jis Ko Kaam Raha is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Har Ek Haal Mein Chalne Se Jis Ko Kaam Raha for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Har Ek Haal Mein Chalne Se Jis Ko Kaam Raha in PDF.