Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai

agarche aah-e-sar-e-sham bhi zaruri hai

dil-e-sitam-zada aaram bhi zaruri hai

sitam-shiar ki tafrih-e-samea ke liye

KHarosh-e-murgh-e-tah-e-dam bhi zaruri hai

ziya-e-kirmak-e-shab-tab hi nahin kafi

sitara-e-sahar-anjam bhi zaruri hai

giran-baha hai mabahis ki shabnam-agini

agarche burrish-e-samsam bhi zaruri hai

baDi hai baat to munh bhi baDa muhayya kar

phir is ke sath baDa nam bhi zaruri hai

sukut gul ka agar na-guzir hai 'jafar'

to andalib ka kohram bhi zaruri hai

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai In English By Famous Poet Jafar Baluch. Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai in PDF.