Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar

aaj kisi ki yaad mein hum ji bhar kar roe dhoya ghar

aaj hamara ghar lagta hai kaisa ujla ujla ghar

apne aaen sar aankhon par ghair ki ye baiThak na bane

ghar aaseb ka ban jaega warna hansta-basta ghar

ghar ko jab hum jhaDen-pochhen rahte hain mohtat bahut

gard-alud nahin hone dete hum ham-sae ka ghar

tum ne kaDiyan jhelin aur ghairon ke ghar aabaad kiye

rah tumhaari takta hai aabai suna suna ghar

jo aaram hai apne ghar mein aur kahan mil sakta hai

TuTa-phuTa bhi ho to bhi apna ghar hai apna ghar

ek anjaane Dar ne nind uchak li sab ki aankhon se

kitni hi raaton se musalsal be-aram hai ghar ka ghar

meri ruh birogan rah rah kar chillati rahti hai

mera ghar mera pyara ghar mera pyara pyara ghar

aawaragardi ke sabab wo din-bhar to matun raha

jab suraj maghrib mein Duba 'jafar' bhi ja pahuncha ghar

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar In English By Famous Poet Jafar Baluch. Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar in PDF.