Tariq-e-kohna Pe Ab Nazm-e-gulistan Na Rahe

tariq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistan na rahe

meri bahaar ko andesha-e-KHizan na rahe

ye aarzu hai badal jae rasm-e-shahr-e-wafa

udas husn na ho ishq sar-garan na rahe

payam-e-wasl se dil bagh bagh ho jaen

labon pe shikwa-e-be-mehri-e-butan na rahe

tulu-e-mehr baDe tuzk-o-ehtisham se ho

ufuq siyahi-e-shab se dhuan dhuan na rahe

samaaton pe musalsal ho naghmagi ka nuzul

nazar mein zisht-manazir ka karwan na rahe

masarraton ke pharere jahan mein lahraen

gham-o-alam ke liye gosha-e-aman na rahe

ba-ru-e-adl sabhi apna apna hissa len

aur ehtimal-e-ghalat baKHshi-e-mughan na rahe

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tariq-e-kohna Pe Ab Nazm-e-gulistan Na Rahe In English By Famous Poet Jafar Baluch. Tariq-e-kohna Pe Ab Nazm-e-gulistan Na Rahe is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Tariq-e-kohna Pe Ab Nazm-e-gulistan Na Rahe for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Tariq-e-kohna Pe Ab Nazm-e-gulistan Na Rahe in PDF.