Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha

wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha

bashar bhi KHair na hoga magar KHuda bhi na tha

kaha shuur ne us waqt harf-e-qum mujh se

ki la-shuur jagane se jagta bhi na tha

ajab thi saat-e-aghaz-e-gulsitan-bandi

nawed-e-gul bhi na thi muzhda-e-saba bhi na tha

wo ibtida-e-safar ab bhi yaad aati hai

kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha

ghalat-numa-o-ghalat-bin hain baz aaine

is e'tiraaz ko naqqad manta bhi na tha

shahid-e-zauq-e-taghazzul tha kam-suKHan 'jafar'

ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha In English By Famous Poet Jafar Baluch. Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha in PDF.