Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta

apne ehsas se bahar nahin hone deta

raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta

KHauf-e-ruswai se kar deta hai hairan aisa

meri aankhon ko samundar nahin hone deta

mom kar deta hai jab lauT ke aa jata hai

mujh ko furqat mein wo patthar nahin hone deta

dekhta hun to kabhi chand kabhi phul hai wo

apni surat mujhe azbar nahin hone deta

ji mein hai uD ke chala jaun jahan rahta hai

wo mera ghar bhi mera ghar nahin hone deta

jab bhi milta hai to bas TuT ke milta hai mujhe

apne gham ka mujhe KHugar nahin hone deta

ruTh bhi jate hain 'jafar' to mana lene mein

mujh ko apne se wo behtar nahin hone deta

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta in PDF.