Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya

arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

aandhi chali to sham ka chehra utar gaya

tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao

main mauj mein nahin hun ki dariya utar gaya

kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe

jin paniyon mein us ne utara utar gaya

ek kashmakash mein ab hain samundar paDe hue

sahra ki tah mein phir koi pyasa utar gaya

bikhra paDa hai KHak pe yun chandni ka jism

jaise meri hi ruh mein tesha utar gaya

'jafar' kabhi na ye mere wahm-o-guman mein tha

main aur us ke dhyan se aisa utar gaya

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya in PDF.